Sher-o-Shayri
1.Husna ko chand,
Javani ko kammal kehte hain!
Dekh kar hum tujhe,
Ekh shauk ghazal kehte hain!
Uff yeh sangeen huwa shafaf badan,
Dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hain.
-----------------------------------------------------------
2.Zindagi kitni bezaar ho jati hain kabhi
Jab apnon ko apne hin dhoke deh jate hain kabhi
Tanhai main shab o saher yun hin guzar jate hain
Zehrile samundar ankhon mein umar jate hain kabhi
Har shaks kissi ki talaash main paagal rehta hain yahan
Par khud ki talaash main sabhi kho jate hain kabhi
Dushmanon se hum kab tak bachte rahenge yaro
Hamle to apne hin logh kar jate hain kabhi
Bauné aasman ko chune ki koshish main hain
Unhein kya maloom badé kandhe pe chadh jate hain kabhi
-------------------------------------------------------------
3.Khush rehne ki duwa dekar tum ne badnaam kiya
Apnon main geir bana kar tum ne badnaam kiya
Har kaam nyara har baat pyari thi tumhari
Apahij bana ke geiron main tum ne badnaam kiya
Kabhi mithi baaton ke samundar main duboya tha
Ab reghistaan main jhonk ke tum ne badnaam kiya
Hawaon main mahal aur shishe ke ghar bane thé
Khayalon mein hin ****e ke tum ne badnaam kiya
Sara mahaul apna tha swarnim sapne apne thé
Sukoon cheen ke sara tum ne badnaam kiya
--------------------------------------------------------------
4.Tu ne yeh mashvara suna hai kya ?
Zindagi ishq ke siwaa hai kya !
Kaatali sab sazaye.n ab to bataa,
E sitamagar, mera gunah hai kyaa ?
Aah mehfil main naa nikalane di ,
Chhup ke rona bhi kuchh gunah hai kyaa?
Umr bhar na mila hai mujhako suku.n ,
Maut hi aakhiri panah hai kyaa ?
Ai mere jurm ginaane wale
Tere ghar koi aaina hai kya ?
Chaand itna udaas dhundhala kyu,
Mujhase ziyada, tanhaa hai kyaa?
Ajanabi se woh aaj baithe hain ,
Qatl ka yeh hi din chuna hai kyaa ?
----------------------------------------------------------------
5.Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain
Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain
----------------------------------------------------------------
6.Mere Daman Mein To Kaaton ki siva Kuch Bhi Nahi,
Aap Phoolon ke Khridaar nazar Aate Hain,
Hashar Mein kuon koi Gawaahi Meri Dega sUBHAh,
Sab Tumhaare Hi TarafDaar Nazar Aate Hain.
---------------------------------------------------------------
7.Umar Jalwon Mein Basar Ho,
yeh zaroori To Nahi,
har Shab-e-gam Ki sahar Ho,
yeh zaroori To Nahi,
Neend To dard ke bistar pe Bhi Aa sakti Hai,
teri Aagosh Mein Sir Ho,
yeh zaroori To Nahi
---------------------------------------------------------------
8.That's angrez chale gaye... magar angrezi ****e gaye!
Arz kiya hain...
Gul gaye, gulshan gaye...
Gul ke patte reh gaye.
Saré shayar mar gaye...
Tum ullu ke patthe reh gaye!
---------------------------------------------------------------
9.Shama parvana choro apne pyar ki baat karo
Maatam ka shauk choro apne yaar ki baat karo
Roné se nazron ke ashka sukh gaye hain ab
Patjhar ka dukh bhulo apne bahaar ki baat karo
---------------------------------------------------------------
10.Hothon Par Na Sahi
Magar Dil Main Ikraar Hain
Hum To Keh Chuke
Ab Tum Bhi Kehdo Na Yaar
KAHO NA PYAR HAIN