Main Menu

  Home
  Music
  Mobile Stuff
  Bollywood News
  Wallpapers
  Fun Masti
  Friend Finder
  Forum
  E-cards
  Love Masti
  MSN Stuff
  Web Directory
  Chat
  Tell Your Friends
  Latest Updates
   

 

About us

  Contact us
  Add to favorites
  Make Home page
  Link Exchange
 

Shayari Sms Messages


 


1.Paas rehta hai......door rehta hai..
Koi Dil mein..... zaroor rehta hai

2.Baithey Baithey Ghabraaey Hum
Jaaney Kissey Yaad Aaiey Hum

3.Yeh Soch ke hum ne Jaan de di
Mayyat pe meri "Woh" aaey gaa

4.Mujh ko mehsoos hua hai aksar
' Toou ' Mujhey dekh raha ho jaisey

5.Pehli si ab Milaap ki soorat nahin rahi
Aik doosrey ki Hum ko zuroorat nahin rahi

6."Uss" sey Aik baar tou roothoon Mein, Ussi ki tarha
Aur Meri tarha sey " Woh " Mujh ko manaaney Aey

7.Hur lafz kitaabon mein Tera Aks liyey hai
Aik phool sa Chehra Mujhey parhney nahin deta

8.Agar talaash karoon, koi mil hi jaaey gaa
Magar Tumhaari tarah kaun Mujh ko chaahey gaa

9.Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum
guzar raha hai koi dil sey Baadalon ki tarah

10.Mein nay dushman ko bhi ahsaas-e-mohabbat bakhsha
Merey apney Mujhay Nafrat ki saza daitay hain

11.Ab Dil ko Intezaar ki Aadat si hogaee
Yeh haal kardiya hai, Terey intezaar nay

12.Na beeti thi kabhi jiss ki Chaand raat, Uss ki.....
Suhaag Raat Humaarey baghair Beet gai

13.Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka

14.Sab kuch Khuda sey maang liya Tujh ko Maang kar
Uth'tay nahin hain haath Merey, Iss Dua ke baad

15.'Woh' jinn ki khaatir, Hum ne saari sarhadein toreen
Unhi ne Aaj kaha hai ke apni " Had " mein raho

16.Hai Dil ko yaqeen, aaein gey woh laut ke aik Roz
Jaisey woh koi cheez yahaan bhool gaey hon

17.Yoon hee bhar aaey Aankh mein Aansoo
Jaai'yay Aap.............. koi baat Nahin

18.Toofaan kar raha tha Merey Azm ka tawaaf
Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai

19.Poocha Kuch iss tarah sey, USS ne Mera Mezaaj
Kehna para ke, " Shukr hai, Parwardigaar ka "

20.Jab bhi aata hai Tera naam, Merey naam ke saath
Jaaney kiyon laug "Merey" Naam sey jal jaatey hain

 

 


 

Masti123.com

A Project of Mast123.com